tārīḳh hameñ saath liye jaatī hai goyā
raste meñ taḳhayyul ke
ka.ī shahr haiñ ābād maazī ke
ka.ī gaañv jo raushan haiñ
guftugū se hamārī
haiñ dasht ka.ī duur talak
jin ko sajāyā hai kabhī ham ne
hañsī-khel meñ
ḳhvāboñ ke ugā kar shajar
jazbāt ke chashme haiñ umaḌte hue
jharne haiñ fikr-mandiyoñ ke jharte hue
dil meñ hamāre
ki jaise ek-dūsre ko bachānā ho hameñ
gardish-e-hālāt se
bhīge hue ehsās se
denī ho tasallī
mushkil bharī rāhoñ meñ
ye rahguzar tamām
jo manzil kī taraf baḌhtī huī
lagtī haiñ gum-sum
jaise ki zindagī kabhī
maqsad se bichhaḌ jaa.e
jaise ki tasavvur se
koī mudda.ā chhin jaa.e zarūrī
jaise ki taqāzoñ kā sila
kuchh na mile ishq meñ
ma.ashūq kī jānib se tā-umr dīvāne ko
ham phir bhī chale jaate haiñ
ik tārīḳh kī tasvīr banāte hue
ummīd ke pannoñ par
armān ke rañgoñ meñ Dubo.e hue
lafzoñ kī uñgliyāñ
jaise ki ye bhī kam nahīñ
hāsil kamāl
daur-e-safar kuchh nahīñ baaqī malāl
jabki hai hamrāh koī
ham-navā hamrāz safar meñ
ki jahāñ lafz haiñ apnī jagah
ḳhāmoshiyāñ bhī boltī jaatī haiñ duur tak
ġhamoñ kī raat meñ
ḳhushiyoñ ke jalātī diye
duniyā se bhī vābastagī kā lutf
mere dil meñ jagātī huī
rakhtī huī ehsās kī chaukhaT pe narm paañv
ham ḳhush haiñ bahut ab
ki ḳhushī kī talāsh meñ
jaanā na kisī raah
honā na kisī des
rahnā na kisī saath
tārīḳh hameñ saath liye jaatī hai goyā
tariKH hamein sath liye jati hai goya
raste mein taKHayyul ke
kai shahr hain aabaad mazi ke
kai ganw jo raushan hain
guftugu se hamari
hain dasht kai dur talak
jin ko sajaya hai kabhi hum ne
hansi-khel mein
KHwabon ke uga kar shajar
jazbaat ke chashme hain umaDte hue
jharne hain fikr-mandiyon ke jharte hue
dil mein hamare
ki jaise ek-dusre ko bachana ho hamein
gardish-e-haalat se
bhige hue ehsas se
deni ho tasalli
mushkil bhari rahon mein
ye rahguzar tamam
jo manzil ki taraf baDhti hui
lagti hain gum-sum
jaise ki zindagi kabhi
maqsad se bichhaD jae
jaise ki tasawwur se
koi muddaa chhin jae zaruri
jaise ki taqazon ka sila
kuchh na mile ishq mein
mashuq ki jaanib se ta-umr diwane ko
hum phir bhi chale jate hain
ek tariKH ki taswir banate hue
ummid ke pannon par
arman ke rangon mein Duboe hue
lafzon ki ungliyan
jaise ki ye bhi kam nahin
hasil kamal
daur-e-safar kuchh nahin baqi malal
jabki hai hamrah koi
ham-nawa hamraaz safar mein
ki jahan lafz hain apni jagah
KHamoshiyan bhi bolti jati hain dur tak
ghamon ki raat mein
KHushiyon ke jalati diye
duniya se bhi wabastagi ka lutf
mere dil mein jagati hui
rakhti hui ehsas ki chaukhaT pe narm panw
hum KHush hain bahut ab
ki KHushi ki talash mein
jaana na kisi rah
hona na kisi des
rahna na kisi sath
tariKH hamein sath liye jati hai goya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.