tariKH Taswe bahaegi
tum sar-e-bām aa kar
uThāyā huā haath apnā hilā kar
chamakdār āñkhoñ se apnī
mujhe ruḳhsatī kā agar izn detīñ
to maiñ dushmanoñ ke liye
maut ban kar nikaltā
tumhāre faqat ik ishāre se
kushtoñ ke pushte lagātā chalā jaatā
tum dekhtīñ kis tarah maiñ
zamāne kī sarhad zarā der meñ paar kartā
har ik samt se vaar kartā
mohabbat kī tārīḳh tabdīl kartā
na.ī razm-e-botīqā tashkīl detā
maiñ lashkar kā sab se bahādur sipāhī thā
mere liye ek aañsū bahut thā
magar tum ne ashkoñ kī barsāt kar ke
mujhe is qadar ġham-zada kar diyā hai
ki lagtā hai ye ma.arka haar jā.ūñgā maiñ
lauT kar ab na ā.ūñgā maiñ.....!
tum sar-e-baam aa kar
uThaya hua hath apna hila kar
chamakdar aankhon se apni
mujhe ruKHsati ka agar izn detin
to main dushmanon ke liye
maut ban kar nikalta
tumhaare faqat ek ishaare se
kushton ke pushte lagata chala jata
tum dekhtin kis tarah main
zamane ki sarhad zara der mein par karta
har ek samt se war karta
mohabbat ki tariKH tabdil karta
nai razm-e-botiqa tashkil deta
main lashkar ka sab se bahadur sipahi tha
mere liye ek aansu bahut tha
magar tum ne ashkon ki barsat kar ke
mujhe is qadar gham-zada kar diya hai
ki lagta hai ye marka haar jaunga main
lauT kar ab na aaunga main!
- Book : Malbey sey mili cheezein (Pg. 37)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Sanjh Publications Pakistan (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.