tujh se miltā huuñ to ahbāb sitam Dhāte haiñ
un kī ḳhvāhish hai ki milne se bhī majbūr rahūñ
tujhe pūjūñ yūñhī ḳhāmosh pujārī ban kar
dil se nazdīk nigāhoñ se magar duur rahūñ
bhuul jā.ūñ tirī ḳhushbū tirī qurbat tirā lams
soz-e-hijrāñ se fasurda rahūñ ranjūr rahūñ
chāñdnī raat jahāñ jism ko jhulsāne lage
partav-e-husn-e-ḳhayālāt se māmūr rahūñ
merī taqdīr bhī rātoñ ke añdhere pahne
yūñhī taḌpā karūñ jaltā rahūñ be-nūr rahūñ
aur ḳhud merī vafā kā bhī taqāza hai yahī
ashk-e-ġham pī ke bhī shādāñ rahūñ masrūr rahūñ
mujh ko ye ġham bhī gavārā hai magar rūh-e-ḳhayāl
tere hoñToñ pe tabassum kī kiran chāhtā huuñ
tujh se milta hun to ahbab sitam Dhate hain
un ki KHwahish hai ki milne se bhi majbur rahun
tujhe pujun yunhi KHamosh pujari ban kar
dil se nazdik nigahon se magar dur rahun
bhul jaun teri KHushbu teri qurbat tera lams
soz-e-hijran se fasurda rahun ranjur rahun
chandni raat jahan jism ko jhulsane lage
partaw-e-husn-e-KHayalat se mamur rahun
meri taqdir bhi raaton ke andhere pahne
yunhi taDpa karun jalta rahun be-nur rahun
aur KHud meri wafa ka bhi taqaza hai yahi
ashk-e-gham pi ke bhi shadan rahun masrur rahun
mujh ko ye gham bhi gawara hai magar ruh-e-KHayal
tere honTon pe tabassum ki kiran chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.