tabassum
chamak hiire se baḌh kar ai tabassum tujh meñ pinhāñ hai
unhīñ hoñToñ pe zau bikhrā tū jin hoñToñ ko shāyāñ hai
misāl-e-barq tū girtā hai jān-e-nā-shakebā par
girī thī jis tarah bijlī kalīm-e-tūr-e-sīnā par
na hogā la.al koī terī qīmat kā badaḳhshāñ meñ
tū hī ik misra-e-barjasta hai qudrat ke dīvāñ meñ
jahāñ kī daulatoñ meñ koī bhī daulat nahīñ aisī
falak par kab chamaktī hai sitāroñ kī jabīñ aisī
ġham-e-duniyā kā shākī jab huā haq se dil-e-ādam
tujhe de kar atā farmā diyā har zaḳhm kā marham
huā jaatā hai pazhmurda dil-e-āvāra siine meñ
to Tapkā qatra-e-āb-e-baqā is ābgīne meñ
jhalak pal-bhar kī hai lekin asar hai dā.imī terā
sar-e-gulzār dam bhartī hai goyā har kalī terā
lab-e-jāñ-baḳhsh par kuchh kuchh numāyāñ ho ke rah jā phir
adhūrī rah ga.ī hai dāstān-e-ishq kah jā phir
chamak hire se baDh kar ai tabassum tujh mein pinhan hai
unhin honTon pe zau bikhra tu jin honTon ko shayan hai
misal-e-barq tu girta hai jaan-e-na-shakeba par
giri thi jis tarah bijli kalim-e-tur-e-sina par
na hoga lal koi teri qimat ka badaKHshan mein
tu hi ek misra-e-barjasta hai qudrat ke diwan mein
jahan ki daulaton mein koi bhi daulat nahin aisi
falak par kab chamakti hai sitaron ki jabin aisi
gham-e-duniya ka shaki jab hua haq se dil-e-adam
tujhe de kar ata farma diya har zaKHm ka marham
hua jata hai pazhmurda dil-e-awara sine mein
to Tapka qatra-e-ab-e-baqa is aabgine mein
jhalak pal-bhar ki hai lekin asar hai daimi tera
sar-e-gulzar dam bharti hai goya har kali tera
lab-e-jaan-baKHsh par kuchh kuchh numayan ho ke rah ja phir
adhuri rah gai hai dastan-e-ishq kah ja phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.