tabib-e-azam
jo zaḳhm maiñ ne tujhe diye haiñ
jo zaḳhm tū ne mire ḳhayāloñ ke in
gudāz a.azā pe diye haiñ
vo ab fazā meñ bikhar ga.e haiñ
hamāre jismoñ kī qaid se vo
nikal ga.e haiñ
bikhar ga.e haiñ har ek shai meñ
havā meñ peḌoñ meñ bādaloñ meñ
vo koh-o-dariyā kī chuppi.on
aur shor-o-ġhul meñ utar ga.e haiñ
jidhar bhī dekhūñ
vo zaḳhm chupke chupke
ris rahe haiñ
jo baaġh meñ ik kalī ko chhū luuñ
to uñgliyoñ pe mavād sā kuchh
dikhā.ī de de
jo bādaloñ se Tapke paanī
to buuñd meñ saḌ rahe lahū kī
mahak sī aa.e
kabhī jo ghabrā ke koī
kitāb uThā luuñ
to us ke pannoñ pe
paTTiyoñ kā gumāñ ho jo ki
abhī utārī ga.ī huuñ
kisī ke zaḳhm-ḳhurda badan se
sunā hai ham ne
ki vaqt to ek chāra-gar hai
aur us kī zambīl meñ
kitne nusḳhe
kahāñ na jaane vo gum huā hai
ki lamhe lamhe meñ kis jatan se
DhūñDhtā huuñ
kahāniyoñ meñ hai zikr jis kā
vo terā merā vaqt jo hai
tabīb-e-āzam
jo zaKHm main ne tujhe diye hain
jo zaKHm tu ne mere KHayalon ke in
gudaz aaza pe diye hain
wo ab faza mein bikhar gae hain
hamare jismon ki qaid se wo
nikal gae hain
bikhar gae hain har ek shai mein
hawa mein peDon mein baadalon mein
wo koh-o-dariya ki chuppion
aur shor-o-ghul mein utar gae hain
jidhar bhi dekhun
wo zaKHm chupke chupke
ris rahe hain
jo bagh mein ek kali ko chhu lun
to ungliyon pe mawad sa kuchh
dikhai de de
jo baadalon se Tapke pani
to bund mein saD rahe lahu ki
mahak si aae
kabhi jo ghabra ke koi
kitab uTha lun
to us ke pannon pe
paTTiyon ka guman ho jo ki
abhi utari gai hun
kisi ke zaKHm-KHurda badan se
suna hai hum ne
ki waqt to ek chaara-gar hai
aur us ki zambil mein
kitne nusKHe
kahan na jaane wo gum hua hai
ki lamhe lamhe mein kis jatan se
DhunDhta hun
kahaniyon mein hai zikr jis ka
wo tera mera waqt jo hai
tabib-e-azam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.