tadwin-o-tajsim
uzv ik ik kar ke joḌe
dil diyā
fikr pahle de chuke the
ya.anī sab kuchh le chuke the
putliyāñ diiñ raushnī baḳhshī
jigar goshoñ ko gurde de diye
phephaḌoñ ko tāzgī paivand-kārī se milī
gene se paude ugaa.e
gene se phal phuul bhī
gene se insāñ banā.e
gene se mor-o-magas
ḳhud-kushī kā haq milā
tajsīm-e-ḳhud kā haq milā
jo atā qudrat kī thī vo ḳhud-baḳhud karne lage
ḳhud-baḳhud jiine lage aur ḳhud-baḳhud marne lage
uzw ek ek kar ke joDe
dil diya
fikr pahle de chuke the
yani sab kuchh le chuke the
putliyan din raushni baKHshi
jigar goshon ko gurde de diye
phephaDon ko tazgi paiwand-kari se mili
gene se paude ugae
gene se phal phul bhi
gene se insan banae
gene se mor-o-magas
KHud-kushi ka haq mila
tajsim-e-KHud ka haq mila
jo ata qudrat ki thi wo KHud-baKHud karne lage
KHud-baKHud jine lage aur KHud-baKHud marne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.