tafsir-e-hayat
duur se bhāgte aur baḌhte chale aate haiñ
jazba-e-shauq meñ Duube hue sarsabz daraḳht
rāhat-e-rūh kā sāmān liye
naġhma-e-sāz nazar bikhrāte
merī mushtāq nigāhoñ se milāte hue nazreñ apnī
mujh se mil mil ke bichhaḌ jaate haiñ
aur phir duur bahut duur pahuñch kar aise
dekhte jaate haiñ muḌ muḌ ke mujhe
jaise ik tishnagī mahsūs kiye jaate haiñ
rail is kaif-o-nazar se aarī
apnī manzil ko uḌī jaatī hai
aur sarsabz daraḳht
dhuñdle sāyoñ meñ badalte hue mādūm hue jaate haiñ
jaise maiñ ne unheñ dekhā hī na ho
yūñhī sāyoñ meñ jhalakte hue mahbūb jamāl
saf.ha-e-dahr ke tābinda nuqūsh
chand yādoñ meñ Dhale jaate haiñ
ye zamāne kā chalan aur safar
mere ahbāb mujhe dekh rahe haiñ goyā
maiñ banā jaatā huuñ tafsīr-e-hayāt
dur se bhagte aur baDhte chale aate hain
jazba-e-shauq mein Dube hue sarsabz daraKHt
rahat-e-ruh ka saman liye
naghma-e-saz nazar bikhraate
meri mushtaq nigahon se milate hue nazren apni
mujh se mil mil ke bichhaD jate hain
aur phir dur bahut dur pahunch kar aise
dekhte jate hain muD muD ke mujhe
jaise ek tishnagi mahsus kiye jate hain
rail is kaif-o-nazar se aari
apni manzil ko uDi jati hai
aur sarsabz daraKHt
dhundle sayon mein badalte hue madum hue jate hain
jaise main ne unhen dekha hi na ho
yunhi sayon mein jhalakte hue mahbub jamal
safha-e-dahr ke tabinda nuqush
chand yaadon mein Dhale jate hain
ye zamane ka chalan aur safar
mere ahbab mujhe dekh rahe hain goya
main bana jata hun tafsir-e-hayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.