taghayyur
havā.eñ chalte chalte thak ga.ī haiñ
duāoñ meñ asar jaatā rahā hai
fazā-e-habs hai aalam pe chhā.ī
hamāre dīn-o-dil girvī paḌe haiñ
har ik sū zālimāna vahshatoñ kā raqs jaarī hai
jidhar dekho vahīñ insāniyat kā aa.ina TuuTā huā
bikhrā paḌā hai
isī kī kirchiyoñ meñ hī kahīñ ummīd kī lau TimTimātī hai
isī kā aks hī mauhūm sā
ik raushnī kā isti.āra hai
yahī paiġhām detā hai
koī saa.at bhī ho paiham nahīñ rahtī
badalte mausamoñ kā naam hai nairangī-e-fitrat
havā.eñ chalte chalte thak ga.ī thiiñ
havā.eñ ruk ke phir chalne lagī haiñ
hawaen chalte chalte thak gai hain
duaon mein asar jata raha hai
faza-e-habs hai aalam pe chhai
hamare din-o-dil girwi paDe hain
har ek su zalimana wahshaton ka raqs jari hai
jidhar dekho wahin insaniyat ka aaina TuTa hua
bikhra paDa hai
isi ki kirchiyon mein hi kahin ummid ki lau TimTimati hai
isi ka aks hi mauhum sa
ek raushni ka istiara hai
yahi paigham deta hai
koi saat bhi ho paiham nahin rahti
badalte mausamon ka nam hai nairangi-e-fitrat
hawaen chalte chalte thak gai thin
hawaen ruk ke phir chalne lagi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.