taghayyur
muddatoñ baad achānak tumheñ dekhā jo kahīñ
tum meñ tum sā kahīñ kuchh bhī nazar aayā hī nahīñ
na vo chehrā na tabassum na vo bholī āñkheñ
zindagī jin kī tamannā meñ guzārī maiñ ne
na vo lahja na takallum na vo apnī sī mahak
jis kī ḳhushbū mirī sāñsoñ meñ samā jaatī thī
der tak maiñ ne kahīñ tum meñ hī khojā tum ko
tum ko paayā hī nahīñ tum to kahīñ the hī nahīñ
jo mukammal kabhī merā thā faqat merā thā
aaj us shaḳhs kā tum meñ koī TukḌā bhī nahīñ
ye sarāpā jo koī ajnabī dikhtā hai mujhe
us meñ guzre hue ehsās kā resha bhī nahīñ
barsoñ pahle kisī shā.ir ne kahā thā shāyad
dil badaltā hai to insāñ bhī badal jaate haiñ
muddaton baad achanak tumhein dekha jo kahin
tum mein tum sa kahin kuchh bhi nazar aaya hi nahin
na wo chehra na tabassum na wo bholi aankhen
zindagi jin ki tamanna mein guzari main ne
na wo lahja na takallum na wo apni si mahak
jis ki KHushbu meri sanson mein sama jati thi
der tak main ne kahin tum mein hi khoja tum ko
tum ko paya hi nahin tum to kahin the hi nahin
jo mukammal kabhi mera tha faqat mera tha
aaj us shaKHs ka tum mein koi TukDa bhi nahin
ye sarapa jo koi ajnabi dikhta hai mujhe
us mein guzre hue ehsas ka resha bhi nahin
barson pahle kisi shair ne kaha tha shayad
dil badalta hai to insan bhi badal jate hain
- Book : میں اردو بولوں(شعری مجموعہ) (Pg. 38)
- Author : اجئے سحاب
- Publication : اردو پریس کلب(یو۔پی۔سی) انٹر نیشنل پبلی کیشنز (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.