taghayyuraat
hañs hañs ke chheḌne kī vo aadat nahīñ rahī
vo maiñ nahīñ rahā vo masarrat nahīñ rahī
merā shu.ūr ḳhud hī mirā pāsbān hai
ab manzil-e-hayāt mire darmiyān hai
tere liye vo vahshat-e-hosh-āzmā ga.ī
vo arz sub.h-o-shām kī vo iltijā ga.ī
be-bākiyoñ kā terī vo dilkash fusūñ gayā
vo dil bujhā vo shauq miTā vo junūñ gayā
aglī mohabbatoñ kī vo tahrīr miT ga.ī
nādāniyoñ ke daur kī tasvīr miT ga.ī
maddham sā paḌ gayā hai kuchh ab sāz-e-dostī
jab se khulā hai mujh pe tirā rāz-e-dostī
vo valvale jo dil meñ the ḳhāmosh ho ga.e
ik sānehe se mere bajā hosh ho ga.e
jo raaz thī nibāh kā vo baat bhī ga.ī
vāraftagī-e-shauq-e-mulāqāt bhī ga.ī
ab to qadīm vaz.a kā ik paas hai mujhe
derīna dostī kā kuchh ehsās hai mujhe
kuchh ye nahīñ ki dard-e-nihāñ duur ho gayā
maiñ gardish-e-zamāna se majbūr ho gayā
uḌtā huā sā rang ruḳh-e-rozgār hai
ya.anī taġhayyurāt pe kyā iḳhtiyār hai
hans hans ke chheDne ki wo aadat nahin rahi
wo main nahin raha wo masarrat nahin rahi
mera shuur KHud hi mera pasban hai
ab manzil-e-hayat mere darmiyan hai
tere liye wo wahshat-e-hosh-azma gai
wo arz subh-o-sham ki wo iltija gai
be-bakiyon ka teri wo dilkash fusun gaya
wo dil bujha wo shauq miTa wo junun gaya
agli mohabbaton ki wo tahrir miT gai
nadaniyon ke daur ki taswir miT gai
maddham sa paD gaya hai kuchh ab saz-e-dosti
jab se khula hai mujh pe tera raaz-e-dosti
wo walwale jo dil mein the KHamosh ho gae
ek sanehe se mere baja hosh ho gae
jo raaz thi nibah ka wo baat bhi gai
waraftagi-e-shauq-e-mulaqat bhi gai
ab to qadim waza ka ek pas hai mujhe
derina dosti ka kuchh ehsas hai mujhe
kuchh ye nahin ki dard-e-nihan dur ho gaya
main gardish-e-zamana se majbur ho gaya
uDta hua sa rang ruKH-e-rozgar hai
yani taghayyuraat pe kya iKHtiyar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.