tagore mohabbat ka farishta
bāñsurī kī lai pe jaise jāgte tāroñ kā naach
sardiyoñ kī kapkapī ko chuum le jis tarah aañch
chāñdnī kī karvaTeñ jaise añdherī raat meñ
jaise naddī kī ravānī āḳhirī barsāt meñ
jaise lahreñ chheḌ deñ dhīme suroñ meñ jal-tarañg
jaise kaliyoñ meñ samā jaa.e bahāroñ kī umang
ban kī ḳhāmoshī meñ jaise mast koyal kī pukār
āsmāñ kī chhat pe jaise abr ke naqsh-o-nigār
jaise kohsāroñ ke māthe par shafaq kī dhāriyāñ
jaise titlī kī hasīñ parvāz meñ gul-kāriyāñ
sub.h ke siine pe thirke jaise sūraj kā jamāl
raat ke ḳhvāboñ meñ jāgeñ jaise din bhar ke ḳhayāl
kaale kaale āsmāñ meñ jaise bijlī kī lakīr
jaise zanjīroñ se khele qaid-ḳhāne meñ asiir
bansuri ki lai pe jaise jagte taron ka nach
sardiyon ki kapkapi ko chum le jis tarah aanch
chandni ki karwaTen jaise andheri raat mein
jaise naddi ki rawani aaKHiri barsat mein
jaise lahren chheD den dhime suron mein jal-tarang
jaise kaliyon mein sama jae bahaaron ki umang
ban ki KHamoshi mein jaise mast koyal ki pukar
aasman ki chhat pe jaise abr ke naqsh-o-nigar
jaise kohsaron ke mathe par shafaq ki dhaariyan
jaise titli ki hasin parwaz mein gul-kariyan
subh ke sine pe thirke jaise suraj ka jamal
raat ke KHwabon mein jagen jaise din bhar ke KHayal
kale kale aasman mein jaise bijli ki lakir
jaise zanjiron se khele qaid-KHane mein asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.