tagore
sahar ke vaqt jab ThanDī havā.eñ sarsarātī haiñ
chaman kā rañg khil jaatā hai kaliyāñ muskurātī haiñ
parinde tolte haiñ par nikal kar āshiyāne se
fazā.eñ guuñj uThtī haiñ anādil ke tarāne se
taḳhayyul aadmī kā jab na.ī tashkīl paatā hai
nizām-e-bazm-e-ālam meñ taġhayyur hotā jaatā hai
hazāroñ mard-e-maidāñ ḳhuun paanī ek karte haiñ
rah-e-mushkil-talab se tab kahīñ āsāñ guzarte haiñ
koī bīmār kā jab pūchhne vaalā nahīñ hotā
maraz baḌhtā hī jaatā hai magar achchhā nahīñ hotā
mujhe tagore kā guzrā zamāna yaad aatā hai
Tapak paḌte haiñ aañsū vo fasāna yaad aatā hai
payām-e-zindagī le kar jo aayā thā zamāne meñ
qayāmat hai usī ko maut ne chhāñTā zamāne meñ
sahar ke waqt jab ThanDi hawaen sarsaraati hain
chaman ka rang khil jata hai kaliyan muskuraati hain
parinde tolte hain par nikal kar aashiyane se
fazaen gunj uThti hain anadil ke tarane se
taKHayyul aadmi ka jab nai tashkil pata hai
nizam-e-bazm-e-alam mein taghayyur hota jata hai
hazaron mard-e-maidan KHun pani ek karte hain
rah-e-mushkil-talab se tab kahin aasan guzarte hain
koi bimar ka jab puchhne wala nahin hota
maraz baDhta hi jata hai magar achchha nahin hota
mujhe tagore ka guzra zamana yaad aata hai
Tapak paDte hain aansu wo fasana yaad aata hai
payam-e-zindagi le kar jo aaya tha zamane mein
qayamat hai usi ko maut ne chhanTa zamane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.