tahaffuz
par rang-e-havas ne phaḌphaḌā.e
baḌhne lage nashshe ke saa.e
ghabrā ga.ī zamīn Dar se
kaliyoñ ke in chhoTe badan par
bhañvre kī nigāh paḌ na jaa.e
mausam ne kar diyā ishāra
bādal ne taan dī hai chādar
shāḳhoñ ne khīñch diiñ tanābeñ
patte lagā chuke qanāteñ
lo nasb ho gayā hai ḳhema
har ḳhaar de rahā hai pahra
ab kuchh ḳhatar zarar na Dar hai
ḳhvābīda husn be-ḳhabar hai
rahzan ke rāste haiñ masdūd
hai jur.at be-panāh mahdūd
fitrat ke dast-e-pur-hunar meñ
ma.asūmiyat ho ga.ī hai mahfūz
par rang-e-hawas ne phaDphaDae
baDhne lage nashshe ke sae
ghabra gai zamin Dar se
kaliyon ke in chhoTe badan par
bhanwre ki nigah paD na jae
mausam ne kar diya ishaara
baadal ne tan di hai chadar
shaKHon ne khinch din tanaben
patte laga chuke qanaten
lo nasb ho gaya hai KHema
har KHar de raha hai pahra
ab kuchh KHatar zarar na Dar hai
KHwabida husn be-KHabar hai
rahzan ke raste hain masdud
hai jurat be-panah mahdud
fitrat ke dast-e-pur-hunar mein
masumiyat ho gai hai mahfuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.