tajdid-3
tum ek hī libās nahīñ pahan sakte
aur vo hai safar
27-sāl se is arsa-e-be-zamīnī par
maiñ safar hī to pahantā aayā huuñ
ek baar ek qasbe meñ
ek nannhī sī bachchī ne mujh se
merī udāsī pūchhī thī
merī udāsī mere andar thī
aur bachchī kā matlab bāhar thā
bāhar kī quvvat ne merī chhipī huī roTiyāñ chhīn liiñ
tum ne kahīñ se sun liyā
ki jo miTTī gosht se chipak jaatī hai
us se ek aTal makān bantā hai
so tum aTal makān meñ aTal ban ga.e
tum ne mujh se merī shahriyat chhīn lī
kyūñki
maiñ un logoñ meñ se nahīñ thā
jinhoñ ne mahz auratoñ ke naam
sūñghne meñ ka.ī baras guzār diye
phir shāyad unheñ koī chor-darvāza mil gayā
kuchh log jo jail se chhūT ke aa.e the
unhoñ ne apne gharoñ kī salāḳhoñ ko
niile rañg se rañg diyā
kyūñki niile rañg kī niiñd
ārām aur vahm ke darmiyān
shāyad ek Taañk hotī hai
maiñ ne kabhī tonic nahīñ piyā
mere paas to kuchh jam.a huī roTiyāñ thiiñ
unhīñ meñ kahīñ khāne baiThā thā
ki shahroñ ke chaurāhoñ kī samt
jaatī huī dhuup bahut tez hogī
ek mulk kā dhuāñ
dūsre mulk kī fasloñ meñ sarāyat kar gayā
tum nahīñ jānte ki ye sab kuchh kyuuñ huā
tum apne makān meñ aTal rahe
maiñ aage chal diyā
mujhe chor-darvāza nahīñ milā
tum ek hi libas nahin pahan sakte
aur wo hai safar
27-sal se is arsa-e-be-zamini par
main safar hi to pahanta aaya hun
ek bar ek qasbe mein
ek nannhi si bachchi ne mujh se
meri udasi puchhi thi
meri udasi mere andar thi
aur bachchi ka matlab bahar tha
bahar ki quwwat ne meri chhipi hui roTiyan chhin lin
tum ne kahin se sun liya
ki jo miTTi gosht se chipak jati hai
us se ek aTal makan banta hai
so tum aTal makan mein aTal ban gae
tum ne mujh se meri shahriyat chhin li
kyunki
main un logon mein se nahin tha
jinhon ne mahz auraton ke nam
sunghne mein kai baras guzar diye
phir shayad unhen koi chor-darwaza mil gaya
kuchh log jo jail se chhuT ke aae the
unhon ne apne gharon ki salaKHon ko
nile rang se rang diya
kyunki nile rang ki nind
aaram aur wahm ke darmiyan
shayad ek Tank hoti hai
main ne kabhi tonic nahin piya
mere pas to kuchh jama hui roTiyan thin
unhin mein kahin khane baiTha tha
ki shahron ke chaurahon ki samt
jati hui dhup bahut tez hogi
ek mulk ka dhuan
dusre mulk ki faslon mein sarayat kar gaya
tum nahin jaante ki ye sab kuchh kyun hua
tum apne makan mein aTal rahe
main aage chal diya
mujhe chor-darwaza nahin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.