tajdid-e-wafa
tū pareshāñ na ho maiñ aaj bhī terī ḳhātir
apnī tanhā.ī ko siine se lagā.e huuñ abhī
terī ulfat kī sunahrī sī vo raushan qindīl
haañ tire ġham ke añdheroñ meñ jalā.e huuñ abhī
tū pareshāñ na ho gar mujh se muḳhātib hai koī
maiñ tujhe pyaar kā maqsūm batā saktā huuñ
merī tanhā.ī ke miT jaane kā ḳhadsha mat kar
apnī tanhā.ī kā mafhūm batā saktā huuñ
tū ne dikhlā.e the mujh ko jo hasīñ taaj mahal
maiñ unheñ sarhad-e-idrāk pe toḌ aaya huuñ
tū merī samt na dekh ai mere kho.e sapne
maiñ umīdoñ ke sanam puuj ke toḌ aaya huuñ
tere sapne to tire saath haiñ phir bhī tujh ko
kyoñ pareshān se sapne mire yaad aate haiñ
ab tujhe mujh se koī rabt koī zabt nahīñ
phir mirī samt kyoñ āñchal tire lahrāte haiñ
ab tire saath jo sapne haiñ haqīqat hai vahī
ye duā hai ki tire ḳhvāb na ab TuuT sakeñ
ab tire saath uThe haiñ jo kisī ke ye qadam
ye kisī gaam pe tujh se na kabhī chhūT sakeñ
ab mire paas na kaliyāñ haiñ na phūloñ kī bahār
ab mirī chashm-e-tasavvur meñ nahīñ koī hasīñ
tū mujhe bhuul bhī jā ab ki mire sapnoñ meñ
sirf tanhā.ī hai ab koī nahīñ koī nahīñ
tu pareshan na ho main aaj bhi teri KHatir
apni tanhai ko sine se lagae hun abhi
teri ulfat ki sunahri si wo raushan qindil
han tere gham ke andheron mein jalae hun abhi
tu pareshan na ho gar mujh se muKHatib hai koi
main tujhe pyar ka maqsum bata sakta hun
meri tanhai ke miT jaane ka KHadsha mat kar
apni tanhai ka mafhum bata sakta hun
tu ne dikhlae the mujh ko jo hasin taj mahal
main unhen sarhad-e-idrak pe toD aaya hun
tu meri samt na dekh ai mere khoe sapne
main umidon ke sanam puj ke toD aaya hun
tere sapne to tere sath hain phir bhi tujh ko
kyon pareshan se sapne mere yaad aate hain
ab tujhe mujh se koi rabt koi zabt nahin
phir meri samt kyon aanchal tere lahraate hain
ab tere sath jo sapne hain haqiqat hai wahi
ye dua hai ki tere KHwab na ab TuT saken
ab tere sath uThe hain jo kisi ke ye qadam
ye kisi gam pe tujh se na kabhi chhuT saken
ab mere pas na kaliyan hain na phulon ki bahaar
ab meri chashm-e-tasawwur mein nahin koi hasin
tu mujhe bhul bhi ja ab ki mere sapnon mein
sirf tanhai hai ab koi nahin koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.