tajdid
koī aaya hai tabassum kī ziyā phail ga.ī
ruuh vīrān thī hañsne kā zamāna aaya
ab isī zaḳhm ke bharne kā zamāna aaya
koī aaya hai nadāmat kā fusūñ āñkhoñ meñ
sub.h ke nuur kī mānind chamak uThtā hai
merī duniyā-e-mohabbat kā ḳhudā aaya hai
aaj ruk jā.eñge bahte hue aañsū mere
aaj phir nuur kī qindīl jalegī ghar meñ
zindagī aaj simaT aa.ī hai kāshāne meñ
aaj phir mujh ko gunahgār banā jā.egī
ziist ko ziist kā shahkār banā jā.egī
chheḌ kar sāz-e-masarrat koī ḳhāmoshī se
ab utartā hai mirī ruuh kī gahrā.ī meñ
āb-e-kausar meñ koī mauj uThī thī lekin
tham ga.ī hai mire paimāne meñ aakar jaise
is tarah parde uThā.e ga.e chupke chupke
kārobār-e-dil-e-nādāñ pe koī hañs na sakā
jaise ab koī haqīqat hī nahīñ is ke sivā
merī duniyā-e-mohabbat kā ḳhudā aa hī gayā
koi aaya hai tabassum ki ziya phail gai
ruh viran thi hansne ka zamana aaya
ab isi zaKHm ke bharne ka zamana aaya
koi aaya hai nadamat ka fusun aankhon mein
subh ke nur ki manind chamak uThta hai
meri duniya-e-mohabbat ka KHuda aaya hai
aaj ruk jaenge bahte hue aansu mere
aaj phir nur ki qindil jalegi ghar mein
zindagi aaj simaT aai hai kashane mein
aaj phir mujh ko gunahgar bana jaegi
zist ko zist ka shahkar bana jaegi
chheD kar saz-e-masarrat koi KHamoshi se
ab utarta hai meri ruh ki gahrai mein
aab-e-kausar mein koi mauj uThi thi lekin
tham gai hai mere paimane mein aakar jaise
is tarah parde uThae gae chupke chupke
karobar-e-dil-e-nadan pe koi hans na saka
jaise ab koi haqiqat hi nahin is ke siwa
meri duniya-e-mohabbat ka KHuda aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.