ye dāstāñ kā siyah samundar
ki jis kī maujeñ mirī sadā haiñ
jo mere andar
azal kī sab ḳhāmushī sameTe
abad kī har tīrgī chhupā.e
dhaḌak rahā hai
vahī ḳhamoshī jo harf kā asl zā.iqa hai
vahī añdherā jo har ujāle kī ibtidā hai
ye rūh-e-naġhma ye sāz-e-hastī
yahī haqīqat yahī gumāñ hai
isī se merā vajūd mumkin
isī se tashkīl-e-do-jahāñ hai
maiñ is muqaddas ghane samundar se qatra qatra
na.e fasāne nikāltā huuñ
maiñ is ke gambhīr pāniyoñ ko
gumāñ ke paikar meñ Dhāltā huuñ
magar ye sayyāl sūrateñ jo
ma.aal haiñ merī koshishoñ kā
maiñ in ko pahchāntā nahīñ huuñ
kahāñ se ubhre haiñ naqsh in ke
ye raaz maiñ jāntā nahīñ huuñ
huuñ ḳhāliq-e-kā.enāt lekin
ḳhudā nahīñ huuñ
ye dastan ka siyah samundar
ki jis ki maujen meri sada hain
jo mere andar
azal ki sab KHamushi sameTe
abad ki har tirgi chhupae
dhaDak raha hai
wahi KHamoshi jo harf ka asl zaiqa hai
wahi andhera jo har ujale ki ibtida hai
ye ruh-e-naghma ye saz-e-hasti
yahi haqiqat yahi guman hai
isi se mera wajud mumkin
isi se tashkil-e-do-jahan hai
main is muqaddas ghane samundar se qatra qatra
nae fasane nikalta hun
main is ke gambhir paniyon ko
guman ke paikar mein Dhaalta hun
magar ye sayyal suraten jo
maal hain meri koshishon ka
main in ko pahchanta nahin hun
kahan se ubhre hain naqsh in ke
ye raaz main jaanta nahin hun
hun KHaliq-e-kaenat lekin
KHuda nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.