taKHliq
havā ko jaane ye kyā huā hai
vo sar se paañv tak aaj kis sabz kapkapāhaT meñ mubtalā hai
vo yuuñ daraḳhtoñ meñ chhup rahī hai ki jaise taḳhlīq ke amal se guzar rahī ho
havā kī sāñseñ ukhaḌ ke phir se sañbhal rahī haiñ
vajūd-e-kaif-o-surūr us kā ajiib mastī ke saath mujh se guzar rahā hai
havā pe misra utar rahā hai
havā pe misra utar rahā hai
hawa ko jaane ye kya hua hai
wo sar se panw tak aaj kis sabz kapkapahaT mein mubtala hai
wo yun daraKHton mein chhup rahi hai ki jaise taKHliq ke amal se guzar rahi ho
hawa ki sansen ukhaD ke phir se sanbhal rahi hain
wajud-e-kaif-o-surur us ka ajib masti ke sath mujh se guzar raha hai
hawa pe misra utar raha hai
hawa pe misra utar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.