taKHliq ki saaton mein
kuchh kahūñ to dam ghuTtā hai
aur ḳhāmoshī mujhe andar se kāTtī hai
ḳhayālāt par lafzoñ ke pahnāve
puure nahīñ aate
kāġhazoñ par dukh utārnā bhī to dukh kī baat hai
nazmeñ mujhe ḳhālī kar detī haiñ
ye shā.irī to mujhe uryāñ kar degī!
maiñ aur kitne chehre pahnūñ
bīnā.ī ke jamghaTe meñ
baar baar ḳhud se bichhaḌ jaatā huuñ
so maiñ ne apnī yād-dāsht meñ ek
tanhā.ī taḳhlīq kī
taaki us meñ baiTh kar mujhe ḳhud ko dohrāne
kā mauqa miltā rahe
fursat ne mujhe thakā diyā thā
shukr hai! maiñ apne kisī kaam to āyā!
kuchh kahun to dam ghuTta hai
aur KHamoshi mujhe andar se kaTti hai
KHayalat par lafzon ke pahnawe
pure nahin aate
kaghazon par dukh utarna bhi to dukh ki baat hai
nazmen mujhe KHali kar deti hain
ye shairi to mujhe uryan kar degi!
main aur kitne chehre pahnun
binai ke jamghaTe mein
bar bar KHud se bichhaD jata hun
so main ne apni yaad-dasht mein ek
tanhai taKHliq ki
taki us mein baiTh kar mujhe KHud ko dohrane
ka mauqa milta rahe
fursat ne mujhe thaka diya tha
shukr hai! main apne kisi kaam to aaya!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.