taKHliq
sar-sabzī mastī shādābī jhoñkoñ kā maddham sañgīt
hare-bhare khetoñ meñ nanhe mane paudoñ kī sarsar
miTTī ke zarḳhez badan kī soñdhī soñdhī sī ḳhushbū
rū-pahlī chamkīlī dhuup kī pyārī pyārī sī lazzat
peḌoñ ke ThanDe sāyoñ meñ shafqat kī halkī sī aañch
pagDanDī ke moḌ pe lahrāte āñchal kī rañgīnī
jismoñ meñ quvvat kī maujeñ āñkhoñ meñ bharpūr chamak
hañste khelte nanhe bachche añg añg meñ tarrārī
zarḳhez-o-shādāb zamīñ par hastī yuuñ lahrātī hai
jaise ik ma.asūm sī bachchī guḌiyā le kar naach uThe
siine bāheñ zulfeñ hoñT javāñ jismoñ kī lahrāhaT
raqs-o-naġhma jām-o-mīnā saaqī kī āñkhoñ kī thakan
mahl-o-aivāñ garmī-e-lazzat ḳhvāboñ kā masrūr jahāñ
masjid ke ūñche mīnāre mandir kā sone kā kalas
shor-o-ġhauġhā hañgāme afsāne jaise marne ke
mahkūmī kulfat shorish zaḳhmoñ kī bauchhāreñ har-sū
jañg qaht bīmārī hasrat jiine vāloñ kī daulat
rañg rañg ke parcham zulm-o-tashaddud ke saare sāmāñ
jiine vāloñ kī duniyā har lamha rañg badaltī hai
ḳhasta imkānāt kī kaḌiyāñ TuuT ke girtī haiñ
ābādī aur vīrāna mafhūm badalte rahte haiñ
dukhtī rotī dhartī par hastī shor machātī hai
jaise ik nannhī bachchī shafqat kī bhūkī chīḳh uThe
aaj magar siine meñ ye ehsās dhaḌaktā hai paiham
maiñ us daur kā insāñ huuñ jis meñ saare insānoñ ne
apne jīte-jāgte azm amn-o-sukūñ kī quvvat se
ek na.e imkān kī sham.a raushan kī hai dhartī par
ek na.ī manzil kī jānib apne qadam baḌhā.e haiñ
quvvat mehnat aur masarrat ke raste apnā.e haiñ
ehsāsāt kī tasvīreñ ye saa.e dauḌte lamhoñ ke
dhartī kī taḳhlīq haiñ is kī god meñ phalte-phūlte haiñ
sar-sabzi masti shadabi jhonkon ka maddham sangit
hare-bhare kheton mein nanhe mane paudon ki sarsar
miTTi ke zarKHez badan ki sondhi sondhi si KHushbu
ru-pahli chamkili dhup ki pyari pyari si lazzat
peDon ke ThanDe sayon mein shafqat ki halki si aanch
pagDanDi ke moD pe lahraate aanchal ki rangini
jismon mein quwwat ki maujen aankhon mein bharpur chamak
hanste khelte nanhe bachche ang ang mein tarrari
zarKHez-o-shadab zamin par hasti yun lahraati hai
jaise ek masum si bachchi guDiya le kar nach uThe
sine bahen zulfen honT jawan jismon ki lahrahaT
raqs-o-naghma jam-o-mina saqi ki aankhon ki thakan
mahl-o-aiwan garmi-e-lazzat KHwabon ka masrur jahan
masjid ke unche minare mandir ka sone ka kalas
shor-o-ghaugha hangame afsane jaise marne ke
mahkumi kulfat shorish zaKHmon ki bauchhaaren har-su
jang qaht bimari hasrat jine walon ki daulat
rang rang ke parcham zulm-o-tashaddud ke sare saman
jine walon ki duniya har lamha rang badalti hai
KHasta imkanat ki kaDiyan TuT ke girti hain
aabaadi aur virana mafhum badalte rahte hain
dukhti roti dharti par hasti shor machati hai
jaise ek nannhi bachchi shafqat ki bhuki chiKH uThe
aaj magar sine mein ye ehsas dhaDakta hai paiham
main us daur ka insan hun jis mein sare insanon ne
apne jite-jagte azm amn-o-sukun ki quwwat se
ek nae imkan ki shama raushan ki hai dharti par
ek nai manzil ki jaanib apne qadam baDhae hain
quwwat mehnat aur masarrat ke raste apnae hain
ehsasat ki taswiren ye sae dauDte lamhon ke
dharti ki taKHliq hain is ki god mein phalte-phulte hain
- Book : Lambi Barish (Pg. 32)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.