takmil
samandar kī betāb lahreñ lapaktī-jhapaktī
mirī or baḌhtī chalī aa rahī haiñ
havāoñ kī yalġhār se har shajar
sar-nigūñ ho rahā hai
har ik rahguzar
lahza-lahza sadā de rahī hai
magar maiñ kināre pe gum-sum khaḌā huuñ
fazāoñ meñ har samt
sad-rang tasvīreñ bikhrī huī haiñ
magar merī āñkhoñ meñ raqsāñ tahī-manzarī hai
mire chāroñ jānib
qalam aur kāġhaz paḌe haiñ
magar zehn meñ mere
koī kahānī nahīñ hai
kisī she'r kā bhī hayūlā nahīñ hai
maiñ is lamha shāyad
kahīñ apne andar
utartā chalā jā rahā huuñ
samandar ki betab lahren lapakti-jhapakti
meri or baDhti chali aa rahi hain
hawaon ki yalghaar se har shajar
sar-nigun ho raha hai
har ek rahguzar
lahza-lahza sada de rahi hai
magar main kinare pe gum-sum khaDa hun
fazaon mein har samt
sad-rang taswiren bikhri hui hain
magar meri aankhon mein raqsan tahi-manzari hai
mere chaaron jaanib
qalam aur kaghaz paDe hain
magar zehn mein mere
koi kahani nahin hai
kisi she'r ka bhi hayula nahin hai
main is lamha shayad
kahin apne andar
utarta chala ja raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.