talab ka aaKHiri maqam
kā.enātī vus.at dekhne ke liye
maiñ ne goal dā.ere meñ qadam rakhā
is ḳhalā ko
ek na.ī raushnī bhar saktī hai
dushvār raah meñ DhūñDhnā āsān nahīñ
vo āḳhirī maqām
jis pe
koī maqāla nahīñ likhā gayā
savāl chīḳh rahā hai
qalb-ul-abyaz se nikaltī kuuk
jab samā.atoñ se Takrā kar gūñgī huī
mujhe phir safed phuul rakh kar
tahqīqī mazāmīn likhne paḌe
manzil qarīb aane lagī
qadam rukne lage
āñkhoñ kā saarā nuur
mujtam.a kar ke dekhā
roTī ek hisār meñ jagmagā rahī thī
jannat se nikāle jaane se le kar aaj tak
talab kā āḳhirī maqām bhuuk hai
kaenati wusat dekhne ke liye
main ne goal daere mein qadam rakha
is KHala ko
ek nai raushni bhar sakti hai
dushwar rah mein DhunDhna aasan nahin
wo aaKHiri maqam
jis pe
koi maqala nahin likha gaya
sawal chiKH raha hai
qalb-ul-abyaz se nikalti kuk
jab samaaton se Takra kar gungi hui
mujhe phir safed phul rakh kar
tahqiqi mazamin likhne paDe
manzil qarib aane lagi
qadam rukne lage
aankhon ka sara nur
mujtama kar ke dekha
roTi ek hisar mein jagmaga rahi thi
jannat se nikale jaane se le kar aaj tak
talab ka aaKHiri maqam bhuk hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.