talab ki sabz miTi
sāvan kī sunahrī jhaḌī ke
mutarannim qatroñ kā raqs kuchh talāshtā hai
havāoñ kā ruḳh
tirī jānib moḌne ko
āsmān kī vus.atoñ se guftugū jaarī hai
safed kabūtar
paiġhām-rasānī kī pahlī uḌaan bharne ke muntazir haiñ
is muskurāhaT kā sadqa utārne ko
dhanak nā-kāfī hai
jo mujh tak tasvīr se nikal kar pahuñchī
maiñ ik nayā rang taḳhlīq karūñgī
tirī āvāz kā zā.iqa
mirī ḳhizāñ meñ Duubī samā.atoñ kī
udaas Tahniyoñ pe rangīñ pattoñ kī madhur
dhun kā mūjib Thahrā
tire lahje kī barastī phuvār
mire sin-rasīda vajūd kī
bahāroñ kī tavīl-umrī kā sabab hai
maiñ tere an-kahe ash.ār kī
pahlī sāme.a
agar apnī tamām nazmeñ
tujh pe vaar duuñ
to maan jāoge
talab kī miTTī kā rang
tab.ī taur par sabz hotā hai
sawan ki sunahri jhaDi ke
mutarannim qatron ka raqs kuchh talashta hai
hawaon ka ruKH
teri jaanib moDne ko
aasman ki wusaton se guftugu jari hai
safed kabutar
paigham-rasani ki pahli uDan bharne ke muntazir hain
is muskurahaT ka sadqa utarne ko
dhanak na-kafi hai
jo mujh tak taswir se nikal kar pahunchi
main ek naya rang taKHliq karungi
teri aawaz ka zaiqa
meri KHizan mein Dubi samaaton ki
udas Tahniyon pe rangin patton ki madhur
dhun ka mujib Thahra
tere lahje ki barasti phuwar
mere sin-rasida wajud ki
bahaaron ki tawil-umri ka sabab hai
main tere an-kahe ashaar ki
pahli samea
agar apni tamam nazmen
tujh pe war dun
to man jaoge
talab ki miTTi ka rang
tabi taur par sabz hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.