tamashe
sunā hai us ne tamāshoñ meñ aañkh kholī thī
jo aaj sab ko hañsātā hai masḳharoñ kī tarah
qadīm daur ke kuchh naqsh us ke chehre par
na.e zamānoñ ke nauhe sunā rahe haiñ hameñ
jadīd ahd meñ kitne tamāshe ho rahe haiñ
drone hamle dhamāke tabāhī aur jañgeñ
ham in tamāshoñ ke har masḳhare ko jānte haiñ
tamāsha karte hue qahqahe lagāte hue
ye masḳhare hameñ jām-e-ajal pilā deñge
ye hone vaale tamāshe hamāre bachchoñ ko
na jaane kaun se circus meñ lā khaḌā kar deñ
hamārī aañkh se miTte hue hasīñ manzar
inhī tamāshoñ ke andar kahīñ bhaTak rahe haiñ
suna hai us ne tamashon mein aankh kholi thi
jo aaj sab ko hansata hai masKHaron ki tarah
qadim daur ke kuchh naqsh us ke chehre par
nae zamanon ke nauhe suna rahe hain hamein
jadid ahd mein kitne tamashe ho rahe hain
drone hamle dhamake tabahi aur jangen
hum in tamashon ke har masKHare ko jaante hain
tamasha karte hue qahqahe lagate hue
ye masKHare hamein jam-e-ajal pila denge
ye hone wale tamashe hamare bachchon ko
na jaane kaun se circus mein la khaDa kar den
hamari aankh se miTte hue hasin manzar
inhi tamashon ke andar kahin bhaTak rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.