tamanna ka saya
darī ke nīche se nikle
gard-o-ġhubār meñ
mere qadmoñ kā nishān paḌā milā hai
nishān jo maiñ ne pichhlī kisī sadī meñ
vaqt kī darī ke nīche dabā diyā thā
dabā diyā thā
yā tum ne kisī na.ī bāryābī ke liye
bo diyā thā
magar darī ke nīche se
daryāft hone vaalā nishān
vaqt pahan kar
safar kī pāzeb bajāte bajāte
sūkhe chamḌe sā akaḌ gayā hai
mujhe apne pairoñ pe vo nishān
kisī būḌhī aatmā kī tarah ḳhauf-zada kar rahā hai
dari ke niche se nikle
gard-o-ghubar mein
mere qadmon ka nishan paDa mila hai
nishan jo main ne pichhli kisi sadi mein
waqt ki dari ke niche daba diya tha
daba diya tha
ya tum ne kisi nai baryabi ke liye
bo diya tha
magar dari ke niche se
daryaft hone wala nishan
waqt pahan kar
safar ki pazeb bajate bajate
sukhe chamDe sa akaD gaya hai
mujhe apne pairon pe wo nishan
kisi buDhi aatma ki tarah KHauf-zada kar raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.