tamanna sar-ba-zanu
mujhe kyā diyā hai zindagī ne kis ko batlā.ūñ
mirī āñkhoñ meñ kuchh aañsū mire hoñToñ pe kuchh aaheñ
mirī kanpaTTiyoñ par tajraboñ kī kuchh safedī hai
mirī ainak ke ‘adse merī bīnā.ī pe hañste haiñ
magar is 'umr meñ bhī merī nādānī nahīñ jaatī
bahāne qurbatoñ ke mujh ko jab bhī yaad aate haiñ
to apne aap ko ilzām un kī laag kā de kar
maiñ har vābastagī ko ḳhud-farebī kah ke hañstā huuñ
ye merī sādgī dekho ki ummīd ab bhī hai lekin
koī 'ahd-e-vafā kī jur.at-e-iz.hār kyā māñge
tamannā sar-ba-zānū apne vā'doñ par pashemāñ hai
mujhe kya diya hai zindagi ne kis ko batlaun
meri aankhon mein kuchh aansu mere honTon pe kuchh aahen
meri kanpaTTiyon par tajrabon ki kuchh safedi hai
meri ainak ke ‘adse meri binai pe hanste hain
magar is 'umr mein bhi meri nadani nahin jati
bahane qurbaton ke mujh ko jab bhi yaad aate hain
to apne aap ko ilzam un ki lag ka de kar
main har wabastagi ko KHud-farebi kah ke hansta hun
ye meri sadgi dekho ki ummid ab bhi hai lekin
koi 'ahd-e-wafa ki jurat-e-izhaar kya mange
tamanna sar-ba-zanu apne wa'don par pasheman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.