tambih
dosto mere himāla kī taraf mat aanā
varna barf aag ke sho'loñ meñ badal jā.egī
shāḳh-e-gul zahr kī shamshīr meñ Dhal jā.egī
mere phūloñ ke shivāle kī taraf mat aanā
shiddat-e-nūr se bhī varna pighal jāoge
mere mandir meñ qadam rakhte hī jal jāoge
merī gambhīr sī ye sham’-e-tarab mat chhūnā
varna patthar meñ bhī poshīda sharar hote haiñ
devtāoñ hī meñ shankar bhī magar hote haiñ
mere ādarsh kī narmī se na tum Takrānā
varna ādarsh meñ tāqat bhī huā kartī hai
dil-e-ulfat hī meñ nafrat bhī huā kartī hai
tum tashaddud ke irāde se idhar mat aanā
varna gautam kī zamīñ aag bhī ban saktī hai
sham'-e-pākīza kī lau naag bhī ban saktī hai
dosto mere himala ki taraf mat aana
warna barf aag ke sho'lon mein badal jaegi
shaKH-e-gul zahr ki shamshir mein Dhal jaegi
mere phulon ke shiwale ki taraf mat aana
shiddat-e-nur se bhi warna pighal jaoge
mere mandir mein qadam rakhte hi jal jaoge
meri gambhir si ye sham’-e-tarab mat chhuna
warna patthar mein bhi poshida sharar hote hain
dewtaon hi mein shankar bhi magar hote hain
mere aadarsh ki narmi se na tum Takrana
warna aadarsh mein taqat bhi hua karti hai
dil-e-ulfat hi mein nafrat bhi hua karti hai
tum tashaddud ke irade se idhar mat aana
warna gautam ki zamin aag bhi ban sakti hai
sham'-e-pakiza ki lau nag bhi ban sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.