tanha
ik shāḳh se pattā TuuT girā
aur tū ne ThanDī aah bharī
ik shāḳh pe khiltā shagūfa thā
tū us se bhī bezār sī thī
tū apne ḳhayāl ke kohre meñ
lipTī huī gum-sum baiThī thī
tū paas thī aur maiñ tanhā thā
mere dil meñ terā ġham thā
tere dil meñ jaane kis kā
ham donoñ paas the aur itne
anjān havā kā har jhoñkā
ik saath hī ham se kahtā thā
''ai rāh-e-ishq ke gumrāho
tum donoñ kitne tanhā ho''
lekin ye use ma.alūm na thā
ham ek the ek the ham donoñ
ham ek hī dukh ke maare the
donoñ ke dhaḌakte sīnoñ meñ
sirf ek hī dard sulagtā thā
lekin ye use ma.alūm na thā
kahtā rahā vo to yahī ham se
''ai rāh-e-ishq ke gumrāho
tum donoñ kitne tanhā ho''
ek shaKH se patta TuT gira
aur tu ne ThanDi aah bhari
ek shaKH pe khilta shagufa tha
tu us se bhi bezar si thi
tu apne KHayal ke kohre mein
lipTi hui gum-sum baiThi thi
tu pas thi aur main tanha tha
mere dil mein tera gham tha
tere dil mein jaane kis ka
hum donon pas the aur itne
anjaan hawa ka har jhonka
ek sath hi hum se kahta tha
ai rah-e-ishq ke gumraho
tum donon kitne tanha ho
lekin ye use malum na tha
hum ek the ek the hum donon
hum ek hi dukh ke mare the
donon ke dhaDakte sinon mein
sirf ek hi dard sulagta tha
lekin ye use malum na tha
kahta raha wo to yahi hum se
ai rah-e-ishq ke gumraho
tum donon kitne tanha ho
- Book : sar-e-shaam se pas-e-harf tak (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.