tanhai
apnī tanhā.ī mujhe achchhī lagī
maiñ ne chāhā hai use
aur paayā bhī use
apne roz-o-shab meñ aksar hai basāyā bhī use
usī ne dī haiñ mujh ko aisī ḳhalvateñ
jin meñ rah kar
maiñ kabhī tanhā nahīñ
saath mere anginat aise ehsāsāt haiñ
jin se hāsil hai
mirī tanhā.iyoñ ko ik sukūñ
ik rifāqat
ġham-gusārī
rahnumā.ī
rahbarī
pā ke maiñ ehsās ke is qurb ko
rah ke tanhā bhī nahīñ tanhā rahī
merī tanhā.ī mirī hamdam mirī dam-sāz hai
us ke ḳhāl-o-ḳhat se maiñ achchhī tarah vāqif nahīñ
naam bhī maḳhsūs us ko
koī de saktī nahīñ
phir bhī us se maiñ bahut mānūs huuñ
saiñkaḌoñ sīnoñ kī dhaḌkan
saiñkaḌoñ āvāz ko
sun rahī huuñ is tarah
jaise ik naġhma koī
yā ho bahte paanī kā ik shor sā
jis ke shor-o-ġhul meñ ab
kho ga.ī jaane kahāñ
mujh ko tanhā.ī mirī achchhī lagī
pyārī lagī
apni tanhai mujhe achchhi lagi
main ne chaha hai use
aur paya bhi use
apne roz-o-shab mein aksar hai basaya bhi use
usi ne di hain mujh ko aisi KHalwaten
jin mein rah kar
main kabhi tanha nahin
sath mere anginat aise ehsasat hain
jin se hasil hai
meri tanhaiyon ko ek sukun
ek rifaqat
gham-gusari
rahnumai
rahbari
pa ke main ehsas ke is qurb ko
rah ke tanha bhi nahin tanha rahi
meri tanhai meri hamdam meri dam-saz hai
us ke KHal-o-KHat se main achchhi tarah waqif nahin
nam bhi maKHsus us ko
koi de sakti nahin
phir bhi us se main bahut manus hun
sainkaDon sinon ki dhaDkan
sainkaDon aawaz ko
sun rahi hun is tarah
jaise ek naghma koi
ya ho bahte pani ka ek shor sa
jis ke shor-o-ghul mein ab
kho gai jaane kahan
mujh ko tanhai meri achchhi lagi
pyari lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.