tanhai
sub.h kā hañstā sitāra tanhā
kaun jaane raat bhar kis karb se guzrā hai
in ghane peḌoñ se lambe tez dāñtoñ vaale ifrīt nikal kar
TeḌhī Tāñgoñ bad-numā pairoñ se komal chāñdnī ke farsh par nāche
khurdure hāthoñ se phūloñ ke jigar chaak kiye
apnī nazroñ kī siyāhī se nikharte hue rañgoñ ke charāġhoñ ko bujhāyā
apne nafrat-bhare sāñsoñ kī bhaḌaktī huī ātish meñ mohabbat kī mahaktī
huī sandal ko bhasm kar Daalā
sub.h kā hañstā sitāra tanhā
kaun jaane din bhar ab kis aag ke dariyā se guzre
āftāb apnī damaktī rath meñ
shab ke ifrītoñ ko masnad par biThā.egā
to sachchā.ī ke phūloñ par bhī moTī dhuul jam jā.egī
āñkheñ pathrā jā.eñgī
rañgoñ kā tamāshā to rahegā
baas uḌ jā.egī
koī zahr kā pyāla na hoñToñ se lagā.egā
sitāra shaam ko apne lahū meñ phir nahā.egā
subh ka hansta sitara tanha
kaun jaane raat bhar kis karb se guzra hai
in ghane peDon se lambe tez danton wale ifrit nikal kar
TeDhi Tangon bad-numa pairon se komal chandni ke farsh par nache
khurdure hathon se phulon ke jigar chaak kiye
apni nazron ki siyahi se nikharte hue rangon ke charaghon ko bujhaya
apne nafrat-bhare sanson ki bhaDakti hui aatish mein mohabbat ki mahakti
hui sandal ko bhasm kar Dala
subh ka hansta sitara tanha
kaun jaane din bhar ab kis aag ke dariya se guzre
aaftab apni damakti rath mein
shab ke ifriton ko masnad par biThaega
to sachchai ke phulon par bhi moTi dhul jam jaegi
aankhen pathra jaengi
rangon ka tamasha to rahega
bas uD jaegi
koi zahr ka pyala na honTon se lagaega
sitara sham ko apne lahu mein phir nahaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.