tanhai
kamre meñ sannāTā hai
ḳhāmoshī hai añgnā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
dard kī nayyā soch kā sāgar ġham kī tez havā.eñ
yādoñ ke tūfānī bādal zehn pe yuuñ mañDlā.eñ
dhīraj ke patvār mire hāthoñ se chhūTe jaa.eñ
jitnā sañbhālūñ bairī manvā
Duube hai gahrā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
palkeñ mūñdūñ niiñd ke badle sāmne tū aa jaa.e
mukh par laaj kā ghūñghaT Daale khaḌī khaḌī muskā.e
pal meñ sāmne aa.e bairan aur pal meñ chhup jaa.e
jaane kyā kyā kah jaatī hai
hañs kar ik añgḌā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
yādoñ ke dhuñdle darpan se kab tak dil bahlā.ūñ
kab tak ḳhāmoshī ko āḳhir apne giit sunā.ūñ
kabhī kabhī to tanhā.ī se is darja ghabrā.ūñ
āñgan se kamre meñ aa.uuñ
kamre se añgnā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
tanhā.ī kī sej pe āḳhir kaise raat guzārūñ
kaise vaqt ke bikhre gesū tanhā aaj sañvārūñ
bechainī se ghabrā kar jab terā naam pukārūñ
merī hī āvāz palaT kar
lauT aa.e tanhā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
dil meñ zaḳhm haiñ niir nayan meñ phir bhī ye muskā.eñ
komal jism jo būḌhe dhanvānoñ kī sej sajā.eñ
bhuuk kī nāgin ke Dar se do roTī meñ bik jaa.eñ
jismoñ ke saude
kitne saste aaj kī is mahñgā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
badan jale tanhā.ī meñ
kamre mein sannaTa hai
KHamoshi hai angnai mein
badan jale tanhai mein
dard ki nayya soch ka sagar gham ki tez hawaen
yaadon ke tufani baadal zehn pe yun manDlaen
dhiraj ke patwar mere hathon se chhuTe jaen
jitna sanbhaalun bairi manwa
Dube hai gahrai mein
badan jale tanhai mein
palken mundun nind ke badle samne tu aa jae
mukh par laj ka ghunghaT Dale khaDi khaDi muskae
pal mein samne aae bairan aur pal mein chhup jae
jaane kya kya kah jati hai
hans kar ek angDai mein
badan jale tanhai mein
yaadon ke dhundle darpan se kab tak dil bahlaun
kab tak KHamoshi ko aaKHir apne git sunaun
kabhi kabhi to tanhai se is darja ghabraun
aangan se kamre mein aaun
kamre se angnai mein
badan jale tanhai mein
tanhai ki sej pe aaKHir kaise raat guzarun
kaise waqt ke bikhre gesu tanha aaj sanwarun
bechaini se ghabra kar jab tera nam pukarun
meri hi aawaz palaT kar
lauT aae tanhai mein
badan jale tanhai mein
dil mein zaKHm hain nir nayan mein phir bhi ye muskaen
komal jism jo buDhe dhanwanon ki sej sajaen
bhuk ki nagin ke Dar se do roTi mein bik jaen
jismon ke saude
kitne saste aaj ki is mahngai mein
badan jale tanhai mein
badan jale tanhai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.