tanhai ke baad
jhāñktā hai tirī āñkhoñ se zamānoñ kā ḳhalā
tere hoñToñ pe musallat hai baḌī der kī pyaas
tere siine meñ rahā shor-e-bahārāñ kā ḳharosh
ab to sāñsoñ meñ na garmī hai na āvāz na baas
tū ne ik umr se baazū bhī nahīñ phailā.e
phir bhī bāñhoñ ko hai sadiyoñ kī thakan kā ehsās
tere chehre pe sukūñ khel rahā hai lekin
tere siine meñ to tūfān garajte hoñge
bazm-e-kaunain tirī aañkh meñ vīrān sahī
tire ḳhvāboñ ke mahallāt to samjhe hoñge
garche ab koī nahīñ koī nahīñ aa.egā
phir bhī aahaT pe tire kaan to bajte hoñge
vaqt hai naag tire jism ko Dastā hogā
yaḳh kar tujh ko havā.eñ bhī biphartī hoñgī
sab tire saa.e ko aaseb samajhte hoñge
tujh se ham-joliyāñ katrā ke guzartī hoñgī
kitnī yādeñ tire ashkoñ se ubhartī hoñgī
zindagī har na.e andāz ko apnātī hai
ye fareb apne liye jaal na.e buntā hai
raqs kartī hai tire hoñToñ pe halkī sī hañsī
aur jī ko koī ruuh kī tarah dhuntā hai
laakh pardoñ meñ chhupā shor-e-aziyyat lekin
dil tire dil ke dhaḌakne kī sadā suntā hai
terā ġham jāgtā hai dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ
terī āvāz se siine meñ fuġhāñ paidā hai
terī āñkhoñ kī udāsī mujhe kartī hai udaas
terī tanhā.ī ke ehsās se dil tanhā hai
jāgtī to hai to thak jaatī hai āñkheñ merī
zaḳhm jalte haiñ tire dard mujhe hotā hai
jhankta hai teri aankhon se zamanon ka KHala
tere honTon pe musallat hai baDi der ki pyas
tere sine mein raha shor-e-bahaaran ka KHarosh
ab to sanson mein na garmi hai na aawaz na bas
tu ne ek umr se bazu bhi nahin phailae
phir bhi banhon ko hai sadiyon ki thakan ka ehsas
tere chehre pe sukun khel raha hai lekin
tere sine mein to tufan garajte honge
bazm-e-kaunain teri aankh mein viran sahi
tere KHwabon ke mahallat to samjhe honge
garche ab koi nahin koi nahin aaega
phir bhi aahaT pe tere kan to bajte honge
waqt hai nag tere jism ko Dasta hoga
yaKH kar tujh ko hawaen bhi bipharti hongi
sab tere sae ko aaseb samajhte honge
tujh se ham-joliyan katra ke guzarti hongi
kitni yaaden tere ashkon se ubharti hongi
zindagi har nae andaz ko apnati hai
ye fareb apne liye jal nae bunta hai
raqs karti hai tere honTon pe halki si hansi
aur ji ko koi ruh ki tarah dhunta hai
lakh pardon mein chhupa shor-e-aziyyat lekin
dil tere dil ke dhaDakne ki sada sunta hai
tera gham jagta hai dil ke nihan-KHanon mein
teri aawaz se sine mein fughan paida hai
teri aankhon ki udasi mujhe karti hai udas
teri tanhai ke ehsas se dil tanha hai
jagti to hai to thak jati hai aankhen meri
zaKHm jalte hain tere dard mujhe hota hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 290)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.