tanhai
patte apne sāyoñ meñ kyā DhūñDte haiñ
DhūñDte DhūñDte
shāḳh se TuuT ke
apne hī in sāyoñ par gir jaate haiñ
niilī chiḌiyā
shaam kī niilī raushniyoñ meñ
bhīge par phailātī hai
par phailāne kī lazzat se
ḳhvāb-zada ho jaatī hai
bhūle bisre sapne dekhtī
āñkheñ mūñdtī āñkheñ kholtī
chupke se so jaatī hai
patte apne sayon mein kya DhunDte hain
DhunDte DhunDte
shaKH se TuT ke
apne hi in sayon par gir jate hain
nili chiDiya
sham ki nili raushniyon mein
bhige par phailati hai
par phailane ki lazzat se
KHwab-zada ho jati hai
bhule bisre sapne dekhti
aankhen mundti aankhen kholti
chupke se so jati hai
- Book : pushtara (Pg. 216)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.