tanKHwah ki tariKH
chand kitābeñ ik biivī do bachche haiñ
kyā kyā kuchh is chhoTī sī duniyā meñ hai
is chhoTī sī duniyā kā maiñ hākim huuñ
biivī bachche sab mere mahkūm haiñ par
ghūrte rahte haiñ ye apne hākim ko
hasrat yās-bharī nazroñ se shām-o-sahar
chhoTī chhoTī āñkhoñ meñ haiñ ḳhvāb baḌe
in baḌe ḳhvāboñ ko jab maiñ suntā huuñ
hairat ke 'ālam meñ sar ko dhuntā huuñ
aane vaalī hai tārīḳh jo tanḳhvāh kī
sochtā huuñ is maah vo sab kuchh le lūñgā
jin ke ḳhvāb sajā rakkhe haiñ bachchoñ ne
biivī kī tākīd hai jin ke baare meñ
ghar ke kuchh sāmān jo ab ke lene haiñ
tel masāle aur rāshan bhī laanā hai
bijlī kā bill gas cylinder duudh kā ḳharch
bachchoñ ke schōl ke juute lene haiñ
ammī aur abbū kī davā.ī laanī hai
aur bharnī hai fees bhī saarī Tuition kī
chand kitābeñ apnī bhī bulvānī hai
jin ke kuchh na.e edition aa.e haiñ
mīr-o-ġhālib ke she'roñ kī kuchh sharheñ
manTo aur bedī ke kuchh afsāne haiñ
'fārūqī' kī aur 'hanfī' kī tanqīdeñ
kuchh sīrat kuchh qur.āñ kī tafsīreñ haiñ
lekin jab tanḳhvāh kī aatī hai tārīḳh
tab mujh ko ehsās ye hone lagtā hai
ye tanḳhvāh jo ab ke milne vaalī hai
ye milne se pahle hī baT jaatī hai
chand kitaben ek biwi do bachche hain
kya kya kuchh is chhoTi si duniya mein hai
is chhoTi si duniya ka main hakim hun
biwi bachche sab mere mahkum hain par
ghurte rahte hain ye apne hakim ko
hasrat yas-bhari nazron se sham-o-sahar
chhoTi chhoTi aankhon mein hain KHwab baDe
in baDe KHwabon ko jab main sunta hun
hairat ke 'alam mein sar ko dhunta hun
aane wali hai tariKH jo tanKHwah ki
sochta hun is mah wo sab kuchh le lunga
jin ke KHwab saja rakkhe hain bachchon ne
biwi ki takid hai jin ke bare mein
ghar ke kuchh saman jo ab ke lene hain
tel masale aur rashan bhi lana hai
bijli ka bill gas cylinder dudh ka KHarch
bachchon ke school ke jute lene hain
ammi aur abbu ki dawai lani hai
aur bharni hai fees bhi sari Tuition ki
chand kitaben apni bhi bulwani hai
jin ke kuchh nae edition aae hain
mir-o-ghaalib ke she'ron ki kuchh sharhen
manTo aur bedi ke kuchh afsane hain
'faruqi' ki aur 'hanfi' ki tanqiden
kuchh sirat kuchh quran ki tafsiren hain
lekin jab tanKHwah ki aati hai tariKH
tab mujh ko ehsas ye hone lagta hai
ye tanKHwah jo ab ke milne wali hai
ye milne se pahle hi baT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.