taqabul
mazdūr
kitnī tārīk hai mazdūr kī duniyā ab tak
us ko afsos kabhī shaad na dekhā ab tak
vahī mehnat vahī dukh aur vahī ġham kī shiddat
vahī nik.hat vahī iflās vahī hai ġhurbat
TuuTe ghar meñ vahī phūTā sā diyā
din nahīñ raat nahīñ sub.h nahīñ shaam nahīñ
use bisrām nahīñ sukh nahīñ ārām nahīñ
baal bachchoñ kī hai kuchh fikr to kuchh apnā ḳhayāl
isī uljhan meñ shab-o-roz vo rahtā hai niDhāl
yuuñ jiyā bhī to bhalā kyā vo jiyā
dhanvān
aur dhanvān kā ab tak hai vahī sar ūñchā
us ke darvāze kī dahlīz kā patthar ūñchā
vahī bangle vahī koThe haiñ vahī rang-mahal
vahī gadde vahī masnad vahī farsh-e-maḳhmal
qumqumoñ se hai mahal baqqa-e-nūr
kis ra.ūnat se vo letā hai ġharīboñ kā salām
aisā sukmār hai kuchh itnā hai nāzuk-andām
haath uThānā to kujā jumbish-e-abrū bhī nahīñ
paas aḳhlāq-o-sharāfat kā sar-e-mū bhī nahīñ
kitnā fir.aun hai kaisā maġhrūr
mazdur
kitni tarik hai mazdur ki duniya ab tak
us ko afsos kabhi shad na dekha ab tak
wahi mehnat wahi dukh aur wahi gham ki shiddat
wahi nikhat wahi iflas wahi hai ghurbat
TuTe ghar mein wahi phuTa sa diya
din nahin raat nahin subh nahin sham nahin
use bisram nahin sukh nahin aaram nahin
baal bachchon ki hai kuchh fikr to kuchh apna KHayal
isi uljhan mein shab-o-roz wo rahta hai niDhaal
yun jiya bhi to bhala kya wo jiya
dhanwan
aur dhanwan ka ab tak hai wahi sar uncha
us ke darwaze ki dahliz ka patthar uncha
wahi bangle wahi koThe hain wahi rang-mahal
wahi gadde wahi masnad wahi farsh-e-maKHmal
qumqumon se hai mahal baqqa-e-nur
kis raunat se wo leta hai gharibon ka salam
aisa sukmar hai kuchh itna hai nazuk-andam
hath uThana to kuja jumbish-e-abru bhi nahin
pas aKHlaq-o-sharafat ka sar-e-mu bhi nahin
kitna firaun hai kaisa maghrur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.