taqaza
ḳhirman-e-ehsās par bijlī girāte jā.iye
ishq ke bedār sho.aloñ ko bujhāte jā.iye
jis ne baḳhshā thā zamīr-e-rūh ko rāz-e-hayāt
haañ usī andāz se phir gungunāte jā.iye
bārish-e-ġham-hā-e-paiham se fazā hai sogvār
aap jaate haiñ to dam bhar muskurāte jā.iye
ishq ke siine meñ maddham ho rahī hai raushnī
ik zarā is sham.a kī lau ko baḌhāte jā.iye
khā rahā huuñ phir fareb-e-kā.enāt-e-rang-o-bū
ye naqāb-e-vahm āñkhoñ se uThāte jā.iye
KHirman-e-ehsas par bijli giraate jaiye
ishq ke bedar shoalon ko bujhate jaiye
jis ne baKHsha tha zamir-e-ruh ko raaz-e-hayat
han usi andaz se phir gungunate jaiye
barish-e-gham-ha-e-paiham se faza hai sogwar
aap jate hain to dam bhar muskuraate jaiye
ishq ke sine mein maddham ho rahi hai raushni
ek zara is shama ki lau ko baDhate jaiye
kha raha hun phir fareb-e-kaenat-e-rang-o-bu
ye naqab-e-wahm aankhon se uThate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.