tarana-e-desh-bhagti
ham pe bedād vo karte haiñ to hairat kaisī
ishq hai jis ko vatan se use rāhat kaisī
ḳhuun rag-rag meñ taḌaptā thā nikalne ke liye
teġh-e-qātil ne nikālī mirī hasrat kaisī
jo gadāyān-e-vatan haiñ unheñ ārām kahāñ
aish maqsūm meñ un ke kahāñ ishrat kaisī
jin ke dil dard-e-vatan se sadā nāshād rahe
kyā ḳhabar un ko ki hotī hai masarrat kaisī
ġhair ḳhuuñ chuus rahe the hameñ ma.alūm na thā
sone vāloñ pe thī chhā.ī huī ġhaflat kaisī
har-nafas apnā sharar-bār hai dushman ke liye
mushta.il dil meñ huī ātish-e-ġhairat kaisī
Thaan lī qaid ġhulāmī se nikal jaane kī
dil jo āzād hai sayyād hirāsat kaisī
ḳhidmat-e-mulk kī ḳhātir jo ho nāzil ham par
ye to ārām hai rāhat hai musībat kaisī
jaan dene ko jo tayyār haiñ bhārat ke liye
un ko talvār kā Dar daar kī dahshat kaisī
desh-bhagtī kā jo 'sābir' ne tarāna gaayā
kyā kaheñ ham ko mayassar huī farhat kaisī
hum pe bedad wo karte hain to hairat kaisi
ishq hai jis ko watan se use rahat kaisi
KHun rag-rag mein taDapta tha nikalne ke liye
tegh-e-qatil ne nikali meri hasrat kaisi
jo gadayan-e-watan hain unhen aaram kahan
aish maqsum mein un ke kahan ishrat kaisi
jin ke dil dard-e-watan se sada nashad rahe
kya KHabar un ko ki hoti hai masarrat kaisi
ghair KHun chus rahe the hamein malum na tha
sone walon pe thi chhai hui ghaflat kaisi
har-nafas apna sharar-bar hai dushman ke liye
mushtail dil mein hui aatish-e-ghairat kaisi
Than li qaid ghulami se nikal jaane ki
dil jo aazad hai sayyaad hirasat kaisi
KHidmat-e-mulk ki KHatir jo ho nazil hum par
ye to aaram hai rahat hai musibat kaisi
jaan dene ko jo tayyar hain bhaarat ke liye
un ko talwar ka Dar dar ki dahshat kaisi
desh-bhagti ka jo 'sabir' ne tarana gaya
kya kahen hum ko mayassar hui farhat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.