tark-e-talluq
gar ta.alluq hī tark karnā thā
mujh se phir pyaar kyoñ kiyā tū ne
muskurātī lajātī āñkhoñ se
ek iqrār kyoñ kiyā tū ne
maiñ ne kab terā pyaar māñgā thā
maiñ ne kab terī aarzū kī thī
maiñ to ḳhāmosh thā falak kī tarah
maiñ ne kab terī justujū kī thī
tū ne ḳhud muskurātī āñkhoñ se
mujh ko āvāz de ke chauñkāyā
mere nāzuk nā-āshnā dil ko
husn kā saaz de ke chauñkāyā
ab vo qasmeñ vo ahd vo va.ade
jaane kyā ho ga.e ḳhudā jaane
vo junūñ-ḳhez ātishī jazbāt
ab kahāñ kho ga.e ḳhudā jaane
jaane kyoñ ab tirī hasīñ āñkheñ
merī jānib kabhī nahīñ uThtī
jaane kyoñ ab hasīn gāloñ par
phuul kī pañkhuḌiyāñ nahīñ khiltī
gar ta.alluq hī tark karnā thā
kaash pahle hī kah diyā hotā
aaj maiñ apnī zindagānī se
is qadar duur na huā hotā
gar talluq hi tark karna tha
mujh se phir pyar kyon kiya tu ne
muskuraati lajati aankhon se
ek iqrar kyon kiya tu ne
main ne kab tera pyar manga tha
main ne kab teri aarzu ki thi
main to KHamosh tha falak ki tarah
main ne kab teri justuju ki thi
tu ne KHud muskuraati aankhon se
mujh ko aawaz de ke chaunkaya
mere nazuk na-ashna dil ko
husn ka saz de ke chaunkaya
ab wo qasmen wo ahd wo wade
jaane kya ho gae KHuda jaane
wo junun-KHez aatishi jazbaat
ab kahan kho gae KHuda jaane
jaane kyon ab teri hasin aankhen
meri jaanib kabhi nahin uThti
jaane kyon ab hasin galon par
phul ki pankhuDiyan nahin khilti
gar talluq hi tark karna tha
kash pahle hi kah diya hota
aaj main apni zindagani se
is qadar dur na hua hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.