tasalli
apnī apnī rāhoñ par muddat tak chalte chalte
aaj achānak ik chaurāhe par jo tum se mel huā
to maiñ ne terī gahrī āñkhoñ meñ jhāñkā
aur chauñk uThī
in meñ tapte sahrāoñ kā baserā thā
aur duur duur tak vīrāne the
riit ke dhuñdle dhuñdle bādal uḌte phirte the
lekin maiñ ne ek lamhe ko ye manzar bhī dekh liyā
ki tapte jalte sahrāoñ meñ
mere naam kā ik āñsū, ik ThanDā mīThā naḳhlistān bhī ugā huā thā
apni apni rahon par muddat tak chalte chalte
aaj achanak ek chaurahe par jo tum se mel hua
to main ne teri gahri aankhon mein jhanka
aur chaunk uThi
in mein tapte sahraon ka basera tha
aur dur dur tak virane the
rit ke dhundle dhundle baadal uDte phirte the
lekin main ne ek lamhe ko ye manzar bhi dekh liya
ki tapte jalte sahraon mein
mere nam ka ek aansu, ek ThanDa miTha naKHlistan bhi uga hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.