taskin-e-ana
jab koī qarz sadāqat kā chukāne ke liye
zahr kā durd-e-tah-e-jām bhī pī letā hai
apnā sar hañs ke kaTā detā hai
zindagī jabr sahī jabr-e-musalsal hī sahī
sahtā hai
aur is jabr ko sau rañg atā kartā hai
harf kā saut kā sūrat kā fusūñ-kārī kā
maiñ use dekh ke chupke se khisak jaatā huuñ
ye to maiñ ḳhud huuñ vo ahmaq jis kī
apnī rusvā.ī meñ taskīn-e-anā hotī hai
jab koi qarz sadaqat ka chukane ke liye
zahr ka durd-e-tah-e-jam bhi pi leta hai
apna sar hans ke kaTa deta hai
zindagi jabr sahi jabr-e-musalsal hi sahi
sahta hai
aur is jabr ko sau rang ata karta hai
harf ka saut ka surat ka fusun-kari ka
main use dekh ke chupke se khisak jata hun
ye to main KHud hun wo ahmaq jis ki
apni ruswai mein taskin-e-ana hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.