taswir
huuñ ik arse se koshish meñ
ki merī adh banī tasvīr
apne pāya-e-takmīl tak pahuñche
ka.ī ḳhat khīñch rakkhe haiñ
banānā chāhtī huuñ
kuchh hasīñ chehre
uchhalte kūdte hañste hue
bachchoñ ke bhī ḳhāke
magar jab un ke hoñToñ par
tabassum khīñchnā chāhūñ
to kuchh chehre ubharte haiñ
ki un kī jaltī āñkheñ
jin meñ āmezish dukhoñ kī hai
savāl-e-adl kartī haiñ
vo ik fariyād kartī haiñ
maiñ un ma.asūm chehroñ se
kahūñ bhī kyā
mire hāthoñ kī larzish
salb kar letī hai merā fan
maiñ un ke rū-ba-rū
hone se Dartī huuñ
adhūrī sī mirī tasvīr
puurī ho nahīñ paatī
hun ek arse se koshish mein
ki meri adh bani taswir
apne paya-e-takmil tak pahunche
kai KHat khinch rakkhe hain
banana chahti hun
kuchh hasin chehre
uchhalte kudte hanste hue
bachchon ke bhi KHake
magar jab un ke honTon par
tabassum khinchna chahun
to kuchh chehre ubharte hain
ki un ki jalti aankhen
jin mein aamezish dukhon ki hai
sawal-e-adl karti hain
wo ek fariyaad karti hain
main un masum chehron se
kahun bhi kya
mere hathon ki larzish
salb kar leti hai mera fan
main un ke ru-ba-ru
hone se Darti hun
adhuri si meri taswir
puri ho nahin pati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.