taswir ka dusra ruKH
ai ki dil terā hai fikr-e-bāda-e-gulfām meñ
zahr bhī hotā hai aksar ḳhūbsūrat jaam meñ
ai ki siine meñ tire armān-e-gul hai be-qarār
dekhnā bedād-e-nok-e-ḳhār se bhī hoshiyār
is sukūt-e-ārzī par ḳhush na ho jaanā kahīñ
tū ne madd-o-jazr maujoñ kā abhī dekhā nahīñ
kar na de ḳhīra tirī nazroñ ko taz.īn-e-ġhilāf
haañ isī parde meñ hai ik teġha-e-ḳhāra-shigāf
bā.is-e-dil-bastagī alfāz kā jaadū na ho
dekh lafzoñ meñ nihāñ dam kā koī pahlū na ho
hai tirī tishna-labī ko ārzū-e-jū-e-āb
justujū terī na ho vārafta-e-dasht-e-sarāb
hai nazar-afroz agarche jalva-e-barq-e-tapāñ
ḳhirman-e-dahqāñ se lekin pūchh us kī dāstāñ
aag se bach kaam meñ lā quvvat-e-tam.īz ko
kah nahīñ sakte haiñ sonā har chamaktī chiiz ko
sho.ala-e-be-bāk bhī hai matla-e-anvār bhī
sham.a kī fitrat meñ ġhāfil nuur bhī hai naar bhī
ḳhūbī-e-āġhāz hī par dil na ho jaa.e nihāñ
talḳhi-e-anjām kā bhī dil meñ kar letā ḳhayāl
pī na jaanā bāda-e-ishrat kā jām-e-ḳhush-gavār
hai bahut taklīf-dah a.azā-shikan is kā ḳhumār
zāhirī hālat pe hargiz kar na bātin kā qayās
ḳhūbī-e-tan par dalālat kar nahīñ saktā libās
hai dil-e-sāda tirā vārafta-e-husn-e-hijāb
zisht-rūī kā kahīñ parda na ho rangīñ naqāb
ho na jaa.e mo'taqid dil zāhirī tanvīr kā
dekh lenā dūsrā ruḳh bhī zarā tasvīr kā
ai ki dil tera hai fikr-e-baada-e-gulfam mein
zahr bhi hota hai aksar KHubsurat jam mein
ai ki sine mein tere arman-e-gul hai be-qarar
dekhna bedad-e-nok-e-KHar se bhi hoshiyar
is sukut-e-arzi par KHush na ho jaana kahin
tu ne madd-o-jazr maujon ka abhi dekha nahin
kar na de KHira teri nazron ko tazin-e-ghilaf
han isi parde mein hai ek tegha-e-KHara-shigaf
bais-e-dil-bastagi alfaz ka jadu na ho
dekh lafzon mein nihan dam ka koi pahlu na ho
hai teri tishna-labi ko aarzu-e-ju-e-ab
justuju teri na ho warafta-e-dasht-e-sarab
hai nazar-afroz agarche jalwa-e-barq-e-tapan
KHirman-e-dahqan se lekin puchh us ki dastan
aag se bach kaam mein la quwwat-e-tamiz ko
kah nahin sakte hain sona har chamakti chiz ko
shoala-e-be-bak bhi hai matla-e-anwar bhi
shama ki fitrat mein ghafil nur bhi hai nar bhi
KHubi-e-aghaz hi par dil na ho jae nihan
talKHi-e-anjam ka bhi dil mein kar leta KHayal
pi na jaana baada-e-ishrat ka jam-e-KHush-gawar
hai bahut taklif-dah aaza-shikan is ka KHumar
zahiri haalat pe hargiz kar na baatin ka qayas
KHubi-e-tan par dalalat kar nahin sakta libas
hai dil-e-sada tera warafta-e-husn-e-hijab
zisht-rui ka kahin parda na ho rangin naqab
ho na jae mo'taqid dil zahiri tanwir ka
dekh lena dusra ruKH bhi zara taswir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.