tauq-e-nakaami
ishq meñ Thahre haiñ ham nā-kāmyāb
Daal kar gardan meñ nākāmī kā tauq
tū bahut ġhamgīn hai
tū matā-e-zīst ko samjhā hai ashkoñ kī bahār
kis qadar mushkil hai manzil
dostī ke rāstoñ kī
kis qadar āfāt haiñ
ik taraf bechārgī hai nafs kī
ik taraf mub.ham se jazboñ kī pukār
ik taraf terī mohabbat kā hisār
kaash tū itnā to samjhe
is jahān-e-zīst kī manzil hai tū
tujh se haiñ ye rāt-din ke silsile
kaash tū itnā to jaane
tujh se maiñ paivast huuñ rūh-e-azal se
jism aur ruuh kī tanābeñ ḳhema-zan haiñ
tere sāhil ke suhāne dosh par
aur tū ḳhāmosh sāgar kī tarah hai be-kanār
ham hue nākām yā haiñ kāmyāb
faisla chhoḌeñ usī par
ham hue jis par nisār
kaash tū itnā to maane
ishq mein Thahre hain hum na-kaamyab
Dal kar gardan mein nakaami ka tauq
tu bahut ghamgin hai
tu mata-e-zist ko samjha hai ashkon ki bahaar
kis qadar mushkil hai manzil
dosti ke raston ki
kis qadar aafat hain
ek taraf bechaargi hai nafs ki
ek taraf mubham se jazbon ki pukar
ek taraf teri mohabbat ka hisar
kash tu itna to samjhe
is jahan-e-zist ki manzil hai tu
tujh se hain ye raat-din ke silsile
kash tu itna to jaane
tujh se main paiwast hun ruh-e-azal se
jism aur ruh ki tanaben KHema-zan hain
tere sahil ke suhane dosh par
aur tu KHamosh sagar ki tarah hai be-kanar
hum hue nakaam ya hain kaamyab
faisla chhoDen usi par
hum hue jis par nisar
kash tu itna to mane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.