tauqir
ye duniyā kis qadar chhoTī hai
jo log
hameñ kal sar-e-rāh mile the
vahī aaj bhī
chehra-afroz haiñ
āḳhir
mujhe apne aap par e'tibār
kyoñ nahīñ hai
maiñ apne aap se
kyoñ mil nahīñ paatā
kyoñ logoñ ko
bāvar nahīñ karā paatā
ki duniyā ke phail jaane ke ḳhauf se
maiñ ḳhud meñ simaT gayā huuñ
aur apne aap ko bhī
dekh nahīñ paatā
ki shāyad ḳhud se
farār mumkin nahīñ hai
ye duniya kis qadar chhoTi hai
jo log
hamein kal sar-e-rah mile the
wahi aaj bhi
chehra-afroz hain
aaKHir
mujhe apne aap par e'tibar
kyon nahin hai
main apne aap se
kyon mil nahin pata
kyon logon ko
bawar nahin kara pata
ki duniya ke phail jaane ke KHauf se
main KHud mein simaT gaya hun
aur apne aap ko bhi
dekh nahin pata
ki shayad KHud se
farar mumkin nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.