tazad
zamīn ghūmtī hai roz apne mehvar par
falak khaḌā hai usī tarah sar uThā.e hue
dinoñ ke pīchhe lagī haiñ usī tarah rāteñ
safar hai jaarī usī tarah ab bhī lamhoñ kā
havā ke dosh pe ḳhushbū ke qāfile ab bhī
ruteñ badalne kā paiġhām le ke aate haiñ
hamāre biich magar fāsle jo qaa.em haiñ
kisī tarah nahīñ kam hote baḌhte jaate haiñ!
zamin ghumti hai roz apne mehwar par
falak khaDa hai usi tarah sar uThae hue
dinon ke pichhe lagi hain usi tarah raaten
safar hai jari usi tarah ab bhi lamhon ka
hawa ke dosh pe KHushbu ke qafile ab bhi
ruten badalne ka paigham le ke aate hain
hamare bich magar fasle jo qaem hain
kisi tarah nahin kam hote baDhte jate hain!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 4)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.