tazabzub
sach batāo
jo kitāboñ meñ likhā hai
kyā vo sab tum ne kahā hai
jab aziyyat jism se risne lagegī
jab duā ko uThne vaale haath
shal hone lageñge aur
shal hote hue hāthoñ ko
kaaT Daalā jā.egā shānoñ se mere
jab sanā kī saut
phūñk Dālegī laboñ ko
aarzū meñ ābloñ sī
āñkheñ
neze phoḌ deñge aur
galā banjar zamīñ sā
kuchh na degā
dast-e-sadā meñ
kaaT Dālegā koī sar dhaḌ se merā
tum
simaT kar rang-o-bū meñ
ḳhāk-o-ḳhūñ meñ
suur phūñkoge
kun kahoge
kyā tumhārā hī kahā hai
jo kitāboñ meñ likhā hai
sach batāo
sach batao
jo kitabon mein likha hai
kya wo sab tum ne kaha hai
jab aziyyat jism se risne lagegi
jab dua ko uThne wale hath
shal hone lagenge aur
shal hote hue hathon ko
kaT Dala jaega shanon se mere
jab sana ki saut
phunk Dalegi labon ko
aarzu mein aablon si
aankhen
neze phoD denge aur
gala banjar zamin sa
kuchh na dega
dast-e-sada mein
kaT Dalega koi sar dhaD se mera
tum
simaT kar rang-o-bu mein
KHak-o-KHun mein
sur phunkoge
kun kahoge
kya tumhaara hi kaha hai
jo kitabon mein likha hai
sach batao
- Book : Bayazain Kho Gayee Hain (Pg. 50)
- Author : Sheen Kaaf Nizam
- Publication : Vag Devi Parkashan, Biconer (Rajisthan) (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.