tum ne sunā
mausam ne sabze kī zabānī kyā kahā?
''ye nahīñ un kī jagah''
ye bhī kahā ki
''mutriboñ kā tā.ifa
un ke liye hai sirf jin kā sāme.a
mo'taqid hai sub.h-e-nau ke tarbiya ilhān kaa''
aur tā.eroñ ne yak zabāñ
is baat kī tasdīq kī
gardan hilā.ī saaq par
har phuul ne
aur piiTh de kar apnī ḳhushbū rok lī
muñh moḌ kar shāḳhoñ ne rokī hai havā
katrā ke guzrī hai ravish dekho sahar
jo thī hamārī dost
ab ham ko nahīñ pahchāntī
kyā kar rahe haiñ ham yahāñ?
uTTho chalo!
kuchh hai hamārā bhī vaqār
dekho! ishāre se bulātā hai hameñ vo reg-zār
tum ne suna
mausam ne sabze ki zabani kya kaha?
ye nahin un ki jagah
ye bhi kaha ki
mutribon ka taifa
un ke liye hai sirf jin ka samea
mo'taqid hai subh-e-nau ke tarbiya ilhan ka
aur taeron ne yak zaban
is baat ki tasdiq ki
gardan hilai saq par
har phul ne
aur piTh de kar apni KHushbu rok li
munh moD kar shaKHon ne roki hai hawa
katra ke guzri hai rawish dekho sahar
jo thi hamari dost
ab hum ko nahin pahchanti
kya kar rahe hain hum yahan?
uTTho chalo!
kuchh hai hamara bhi waqar
dekho! ishaare se bulata hai hamein wo reg-zar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.