TeDha sawal
mez ke uupar rakkhe the kāñse ke bandar
kamre meñ thā ek dhuñdalkā halkā halkā
maiñ ne dekhā
ik bandar thā haath rakhe apnī āñkhoñ par
ik hoñToñ par
ik kānoñ par
ek hañsī hoñToñ par aa.ī
guuñj abhī baaqī thī us kī
maiñ ne āñkheñ mal kar dekhā
āñkhoñ par se haath haTā.e bandar mujh ko ghuur rahā hai
yuuñ goyā hai
kaisī achchhī nasl thī jis ne mere haath rakhe merī āñkhoñ par
kaisī achchhī nasl thī jis ne chāhā maiñ na burā.ī koī dekhūñ
nāqis manzar ban na sake kāñTā āñkhoñ kā
nek banūñ maiñ
maiñ ne dekhā
dūsrā bandar hoñToñ par se haath haTā.e merī jānib dekh rahā hai
yuuñ goyā hai
kaisī achchhī nasl thī jis ne mere haath rakhe mere hoñToñ par
kaisī achchhī nasl thī jis ne chāhā koī lafz burā na kahūñ maiñ
nek banūñ maiñ nek rahūñ maiñ
maiñ ne dekhā
tīnoñ bandar yuuñ goyā haiñ
ek zamāne baa'd ab ham ne
āñkheñ kholīñ jannat badlī badlī sī duniyā kī dekhī
lab khole haiñ lafzoñ kī lazzat se lab mahzūz hue haiñ
lafz sune shīrīñ lafzoñ kā sehr ajab hai
lekin
ab ham ko pahchān nahīñ hai
kyā achchhā hai aur burā kyā
tum batlāo
saarī burā.ī ḳhatm huī kyā
kyā duniyā ghar hai nekī kā
mez ke upar rakkhe the kanse ke bandar
kamre mein tha ek dhundalka halka halka
main ne dekha
ek bandar tha hath rakhe apni aankhon par
ek honTon par
ek kanon par
ek hansi honTon par aai
gunj abhi baqi thi us ki
main ne aankhen mal kar dekha
aankhon par se hath haTae bandar mujh ko ghur raha hai
yun goya hai
kaisi achchhi nasl thi jis ne mere hath rakhe meri aankhon par
kaisi achchhi nasl thi jis ne chaha main na burai koi dekhun
naqis manzar ban na sake kanTa aankhon ka
nek banun main
main ne dekha
dusra bandar honTon par se hath haTae meri jaanib dekh raha hai
yun goya hai
kaisi achchhi nasl thi jis ne mere hath rakhe mere honTon par
kaisi achchhi nasl thi jis ne chaha koi lafz bura na kahun main
nek banun main nek rahun main
main ne dekha
tinon bandar yun goya hain
ek zamane ba'd ab hum ne
aankhen kholin jannat badli badli si duniya ki dekhi
lab khole hain lafzon ki lazzat se lab mahzuz hue hain
lafz sune shirin lafzon ka sehr ajab hai
lekin
ab hum ko pahchan nahin hai
kya achchha hai aur bura kya
tum batlao
sari burai KHatm hui kya
kya duniya ghar hai neki ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.