biptā morī kaun sunegā
terā sahārā shaah mujhe hai
berī tore pyaar meñ kamlī
haar ga.ī dil vaar ga.ī
bikhar rahī hai tanhā.ī meñ
mujh ko bāñhoñ meñ bhar le
kar tū mujh ko pyaar piyā
jīvan tujh par vaar diyā
tore bin maiñ huuñ adhūrī huuñ
tū chhū le to puurī huuñ
vasl kiyā to Darnā kyā
hijr na mujh meñ bharnā piyā
pyaar nibhānā hogā mujh se rabt baḌhānā hogā mujh se
tū dariyā hai maiñ huuñ pyāsī
ban ke rahūñgī terī daasī
dil meñ mere aan base ho
naināñ meñ bhī tū hī jache ho
sar se pā tā chūmo mujh ko
vaadī vaadī parbat parbat qarya qarya gulshan gulshan
saath meñ le ke ghūmo mujh ko
terī huuñ maiñ terī rahūñgī
tujh bin maiñ to jī na sakūñgī
bipta mori kaun sunega
tera sahaara shah mujhe hai
beri tore pyar mein kamli
haar gai dil war gai
bikhar rahi hai tanhai mein
mujh ko banhon mein bhar le
kar tu mujh ko pyar piya
jiwan tujh par war diya
tore bin main hun adhuri hun
tu chhu le to puri hun
wasl kiya to Darna kya
hijr na mujh mein bharna piya
pyar nibhana hoga mujh se rabt baDhana hoga mujh se
tu dariya hai main hun pyasi
ban ke rahungi teri dasi
dil mein mere aan base ho
nainan mein bhi tu hi jache ho
sar se pa ta chumo mujh ko
wadi wadi parbat parbat qarya qarya gulshan gulshan
sath mein le ke ghumo mujh ko
teri hun main teri rahungi
tujh bin main to ji na sakungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.