Thahar sakega
jazbāt
vaqt ke badalte dhāre ke saath
aate haiñ parvān chaḌhte haiñ
Dhalte haiñ aur phir mar jaate haiñ
bilkul ek insān kī tarah
kisī jazbe se
hayāt-e-jāvidāñ kī ummīd rakhnā
har jazba kabhī na kabhī
mar jaatā hai
Thiik usī tarah
jaise kabhī na kabhī har insān
ThanDe murdār gosht ke
ek Dher meñ zarūr tabdīl ho jaatā hai
tumhārā pyaar bhī mere liye
ek na ek din ḳhatm ho jaanā hai
magar kyā
ye mere ḳhatm hone tak Thahar sakegā
jazbaat
waqt ke badalte dhaare ke sath
aate hain parwan chaDhte hain
Dhalte hain aur phir mar jate hain
bilkul ek insan ki tarah
kisi jazbe se
hayat-e-jawidan ki ummid rakhna
har jazba kabhi na kabhi
mar jata hai
Thik usi tarah
jaise kabhi na kabhi har insan
ThanDe murdar gosht ke
ek Dher mein zarur tabdil ho jata hai
tumhaara pyar bhi mere liye
ek na ek din KHatm ho jaana hai
magar kya
ye mere KHatm hone tak Thahar sakega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.